Tuesday, 30 July 2013

tere hont kanwal


Ae baad-e-saba us nagar main ja usay itna bata ek dost tera kehta hy sada mujhy apna bana chahat ko jaga ae jaan-e-ghazal teri baat azal tere hont kanwal teri aankh ghazal ae jaan-e-wafa khud tu hi bata kab tere siwa mujhey chain mila ???

yeh kiyal tu kiya hota

kaisay jiyan gay tum bin yeh kiyal tu kiya hota jo dard saha hum nay wo dard tum nay bhi kabhi saha hota bas chal diya daman chora kay begano ki tarah kam say kam has kay ik dafa alvida too kaha hota

Wo muj se bichar gaya gayeye saal ki tarah.


Wo muj se bichar gaya gayeye saal ki tarah. us ka be haal ho gaya mere haal ki tarah. Reh gaye rastay sajay sajaye laiken wo na ahya. yeh saal be guzar gaya her saal ki tarah.

Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,

Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi, Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi, Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi, Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………

Hamara ye tum ko salaam aakhri hai




Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri ha


Woh mil jatey hain kahani bankar

Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai

Vo Chaandani Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,


Vo Chaandani Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,
Bahut Aziz Hamen Hai Magar Paraya Hai
Utar Bhi Aao Kabhi Aasaman Ke Zine Se,
Tumhen Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai.